Thursday 27 February 2014


 

Meri maa swagirya Late Smt. Nirmala Devi kehti thi ki kisi kaam ke piche pad jaane se, wo kaam definitely ho jata hai...

Main apni maa ki bahut badi follower hu... Bilkul unke jaisa hona to mere bas mein nahi... Lekin usi koshish mein hu...
:)

Tuesday 11 February 2014


Best Wishes...

92.7 Big FM par mera show "Seher" no. 1 ho gaya... Jab shrota bahot pyaar dete hai to meri unke prati jimmedari aur badh jaati hai... Apna shubh aashish banaye rakhiyega... Dhanyawad :)

Friday 7 February 2014

Kaamini Khanna

Meri Samajh Mein Aaya...

Ant mein usne socha, ant mein usne chaha, ant mein use laga aur ant mein aisa hua... Par ant hi kyun? Kyun pehle na socha? Kyun pehle na chaha? Kyun pehle na hua? Wo ant dekhta raha... Ant usse khelta raha...